Monday, August 15, 2011

Aaj Ki Taaza Khabar, Insaan Tha Pehele Bandar...

INDEPENDENCE DAY SPECIAL
Rare Gems from the treasure of India


These are couple of songs that not many people know. They are from the film 'Son of India' released in 1962. This film has one more song which is very well known to everyone, which we hear mostly during Republic day or Independence day like many other patriotic songs. It is, Nannaa Munna Rahi Hoon Des Ka Sipai Hoon...
 The other two songs are Aaj Ki Taaza Khabar...and Insaan Tha Pehele Bandar...
The great thing about these songs are the lyrics which are written by SHAKEEL BADAYUNI, the lyrics of these songs convey a great message to Human Race. 


Aaj Ki Taaza Khabar...
Singer : Shanti Mathur
Music : Naushad
Film : Son of India

LYRICS
Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aao kakaji idhar
Aao mamaji idhar
suno duniya ki khabar

Main tumhare liye dukh aur khushi bi laaya
Main tumhare liye aasu bhi hasi bhi laaya
Dekhle aaj ke insaan ki haalat kya hai
Aaj ki dunyia mein imaan ki kimat kya hai
log jeete hain yaahan duniya ko dhoka dekar

Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aao kakaji idhar
Aao mamaji idhar
suno duniya ki khabar

Aaj ek bhakt ne bhagwan ka mandir loota
ek beyimaan ne masjid me churaya juta.
Kaalebazar ki ek toli police ne dharli
ek budhe ne jaawan ladki se shaadi karli
ek ladka udaa ek mem ka batwa lekar

Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aao kakaji idhar
Aao mamaji idhar
suno duniya ki khabar

Ek dhanwaan ne aaj apna dharam chhod diya
Aaj ek bhooke ne footpath pe dam tod diya
Aaj tankhaha badhi hai to hai majdoor magan
Kal se ho jaeyaga baazar me mehanga raashan
Babuji jaayenge daftar ko pakode khaakar

Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aao kakaji idhar
Aao mamaji idhar
suno duniya ki khabar

Yun to Ganpat bhi hai, Joseph bhi hai, Rehman bhi hai
Ye to batlao ki inhme kahi insaan bhi hai
Koi rooti koi paise ko khuda kehta hai
Har koi paap ke dhande main laga rehta hai
Aaj bhagwaan se badhkar hai hawaldaar ka dar

Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aao kakaji idhar
Aao mamaji idhar
suno duniya ki khabar

Aaj Amrica ne atom ka udaya ghoda
Ruus ne aaj naya chand pe rocket chhoda
Kahi pe aaj ka insaan kahi pahuncha hai
Phir bhi sachhai ke raste pe nahi pahuncha hai
Kise maalum ke ye aadmi jaayega kidhar.

Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aaj ki taaza khabar
Aao kakaji idhar
Aao mamaji idhar
suno duniya ki khabar



Insaan Tha Pehele Bandar...
Singer : Shanti Mathur
Music : Naushad
Film : Son of India
LYRICS
Kahete the ustaad hamare
Naam tha jiska machandar
Insaan tha pehle bandar
Insaan tha pehle bandar
Lambi doom wale the saare apne kaum ke andar
Insaan tha pehle bandar
Insaan tha pehle bandar

Na koi John tha, Na koi Abdul, Na koi tha Gopal
Sabki surat ek jaisi thi, ek thi sabki chaal, ek thi sabki chaal
Nange phirte the jungle main banke mast kalandar
Insaan tha pehle bandar
Insaan tha pehle bandar
Kahete the ustaad hamare
Naam tha jiska machandar
Insaan tha pehle bandar
Insaan tha pehle bandar

Kaam kiya ye pehla humne bangaye jab insaan
Mitti ke do chaar gharon mein baat diye bhagwaan, baat diye bhagwaan
kisi ne khola ooncha girjaa
kisi ne masjid, mandir
Insaan tha pehle bandar
Insaan tha pehle bandar
Lambi doom wale the saare apne kaum ke andar
Kahete the ustaad hamare
Naam tha jiska machandar
Insaan tha pehle bandar
Insaan tha pehle bandar

Bhool gaye sab ek duje ko bankar aadamzad
Kaise kaise jaal me fas gayi bandar ki aulad,bandar ki aulad
Koi bana hai aaj bhikari, koi aaj sikandar.
Insaan tha pehle bandar
Insaan tha pehle bandar
Kahete the ustaad hamare
Naam tha jiska machandar
Insaan tha pehle bandar
Insaan tha pehle bandar



HAPPY INDEPENDENCE DAY

No comments:

Post a Comment

Feel Free to Comment

मेरी रट ! I Iterate...

ये जो तेरी आँखें इतनी नटखट है ना जाने इनमें कैसा कपट है जिसमें उलझा हूँ वो तेरी उलझी हुई लट है सोने ना दे ये तेरे ख...