Sunday, August 7, 2011

Badi Mushkil Se Duniya Me Dost Milte Hain.

HAPPY FRIENDSHIP DAY

Wonderful Lyrics by Anand Bakshi defining true friendship in the song from the film Namak Haram sung by the great Kishore Kumar



LYRICS  : ANAND BAKSHI

MUSIC   : R.D. BURMAN

SINGER : KISHORE KUMAR







Diye jalte hain, phool khilte hain, diye jalte hain, 
phool khilte hain
badi mushkil se, magar, duniya mein dost, 
milte hain, diye jalte hain

Jab jis waqt kisi ka, yaar juda hota hai, 
kuchh na poochho, yaron dil ka, haal bura hota hai,
Jab jis waqt kisi ka yaar juda hota hai, 
kuchh na poonchho yaron dil ka haal bura hota hai,
dil pe yadon ke jaise, teer chalte hain, ahanha
Diye jalte hain, phool khilte hain, 
diye jalte hain

Is rang roop pe dekho, hargiz naaz na karna, 
jaan bhi mange, yaar to dede na, naraz na karna,
rang ud jate hain, dhoop dhalte hain, hmhmhm
Diye jalte hain, phool khilte hain, diye jalte hain

Daulat aur jawani, ek din kho jaati hain, 
sach kahta hoon, saari duniya, dushman ho jaati hai,
umr bhar dost lekin saath chalte hain hmmhm
Diye jalte hain, phool khilte hain, 
badi mushkil se, magar, duniya mein dost milte hain
Diye jalte hain.

No comments:

Post a Comment

Feel Free to Comment

मेरी रट ! I Iterate...

ये जो तेरी आँखें इतनी नटखट है ना जाने इनमें कैसा कपट है जिसमें उलझा हूँ वो तेरी उलझी हुई लट है सोने ना दे ये तेरे ख...