Wednesday, June 1, 2011

Ek Machhar...

Actor - Nana Patekar
Film - Yeshwant (1997).
Music - Anand-Milind 





EK MACHCHAR AADMI KO HIJDA BANA DETA HAI
EK KHATMAL POORI RAAT KO APAHICH KAR DETA HAI

SUBAH SE GHAR SE NIKLO, BHEED KI HISSA BANO, SHAAM KO GHAR JAO DAARU PIYO, BACHCHE PAIDA KARO AUR SUBHA PHIR EK BAR MARJAO, KYONKI AATMA AUR ANDAR KA INSAAN MAR CHUKA HAI, JEENE KE LIYE GHILONE SAMJHOTE KAR CHUKA HAI..

OONCHI DUKAAN, PHEEKHA PAKWAAN, KHADDAR KI LANGOTI CHAANDI KA PIGDAAN, SAU MEIN SE ASSI BEIMAN, PHIR BHI MERA DESH MAHAAN...

TOPI LAGAYE MACHCHAR KEHTA HAI DESH KE LOGON MEIN SAMTA KI BHAAVNA AA RAHI HAI.. ISI LIYE TO BADI MACHCHARNI CHHOTI KO KHAA RAHI HAI....

HAMARE CHUNE HUYE KUTTHE HAME HI KAATTHE HAI, HAMARE HI BOTIYAAN AAPAS MEIN BAANT THE HAI...
AMANUSH GANDHA SE BHARE INKE HAWA SE NANGE RAASTE KAAPTE HAI
KAL PAIDA HUYE BACHHE EK SAAS LETE HUYE HAAPTE HAI
SHAITAANO KE NAAJAYE AULAD TEHELKA MACHA RAHE HAI... AUR HUM...HUM BHAGVAAN KE CHAICHE JAANWAR...INSAAN ZINDAGI KO GAALI BANAYE BAITEY HAI..

LEKIN KYA KARE....EK MACHCHAR...


GIRO.....GIRO.......GIRO..GIRO... LEKIN US JHARNE KI TARAH JO PARWAT KI OONCHAYI SE GIRKE SE BHI APNI SUNDARATA KHONE NAHI DETA......ZAMIN KE TEH SE MILKE BHI APNI ASTITV KO NASHT HONE NAHI DETA......
LEKIN ITNA SOCHNE KELIYE WAQT HAI KISKE PAAS.......
KYONKI.... EK MACHCHAR AADMI KO.....

MANDIR MASJID KI LADAYI MEIN MAR GAYE LAAKHON INSAAN
DHARM AUR MASHAB KE NAAM PAR HUYE HAZARON KURBAAN
JISNE ANYAY KE VIRODH MEIN VAALI KO MAARA.....RAAVAN KO MAUT KE GHAAT UTHAARA...
PUNYA KO PAAP SE UBHAARA...
MUJHE US RAAM KI THALAASH HAI
MAGAR LAGTA HAI......... IS YUG KE RAAM KO AAJEEVAN BANVAAS HAI....
KYA KARE.......KYONKI, EK MACHCHAR....



KABHI SHEYTAAN AAYENGE.............MERE DARWASE PAR DASTAK DENGE...
MERE ZAHAN KI THAALASHI LENGE....
PHIR CHAL UDTHENGE....

US WAQT MEIN DAROONGA NAHI
APNE VISWAS KO DHAAL AUR ANDAR KI AAG KO TALWAAR BANAOONGA...
EK NA EK DIN TO US AAG MEIN TUM KOODOGE HI...

KARO...AAJ MUJHE BADNAAM KARO...NEELAAM KARO....
NEELAMI KELIYE KYA HAI MERE PAAS....
BAS........JALTE HUYE AANSUWON KE EHSAAS.....

MAGAR....MAGAR MEIN TUMSE BADLA LOONGA...
TUMHARI AAKHRI GOLI PAR MERE DO SAANSON KE BEECH KA TAHARAAV TUMHE FOKET MEIN DOONGA....

No comments:

Post a Comment

Feel Free to Comment

मेरी रट ! I Iterate...

ये जो तेरी आँखें इतनी नटखट है ना जाने इनमें कैसा कपट है जिसमें उलझा हूँ वो तेरी उलझी हुई लट है सोने ना दे ये तेरे ख...